Wednesday, 17 December 2014

"Aaj main candle nahi jalaaoongi"



Aaj main candle nahi jalaaoongi,

Jal jal ke pighal gayi hain kayi candles,
Aur saath hi pighal gaye, bade shehron ke buland darwaaze,
Nahi pighle jo, hain kuch bigde dil yahaan,
Barson se liye, aankhon mein, nafrat ke angaarey,
Dhadhak ke hain laal, jo badle ke laave se,
Riste rehte hain, kishton mein,
Anayas hi de jaate hain, apni naraazi ke kuch zinda, kuch murda saboot,
Zinda murda ho jaate hain, aur murda khabar bankar,
Agle din bade kaale aksharon mein,
Meri subah aur kaali kar jaate hain.

Pichhli baar jab maine candle jalaayi thi,
Socha tha... ki jin dilon ko insaaniyat garm nahi karti,
Unhe woh shaayad kuch raahat de,
Mere saath tum bhi toh the, us bheed mein shaamil,
Jahaan ghairon ne bhi, wajah se rishte banaaye the,
Aadhe jhuke hue the wahaan, raeeson ke bhi parcham,
Aur gareebon ne jholi bhar ke aansu lutaye the,

Aaj phir sane hain khoon se, pade hain sadkon pe, school ke baste,
Chhide hain goliyon se, kuch nanhe paak zehen,
Gine nahin, par aadhe kaafir, aadhe mazhabi honge,
Par ab murda hain, toh koi mudda hi nahin.
Mat chhuo, pade rehne do, in pighle hue lawaaris armaanon ko,
Jaise ghar jaane ke baad, pade rehte hain peeche.. pighle mom ke kuch pulinde,
Jab chhant jayenge mitti mein, jo hain ghair mazhabi badan,
Aur reh jaayenge fakat mazhabi, 
Tab shayad pehchaan hogi, apne hi mustakbil ki,
Gussa shayad phir thanda ho!

Aaj tum candle mat jalaana,
Iski law se aur na uble, ruthe huye dilon ki fitrat,
Jal jal ke pighal gayi hain kayi candles,
Pighla sake bigde hue dilon ko koi,
Sard ho aahein, garm kare in mein jazbaat,
Main woh gunguni shama jalaaoongi,

Par main candle nahi jalaaoongi.

1 comment:

  1. Poignant but also talks about the level of helplessness we are feeling at the moment. It seems, we almost are alone to fight things out. And this 'candle light' protests are taking us nowhere.

    There could not have been a better line than this : Jo zinda hain so toh mar jaate hain, baaki bas khabar ban jaate hain...

    I am kind of at a loss of words.

    ReplyDelete