Sunday, 26 July 2015

"Beti"


Ashaadh ke chauthe din ko woh mere ghar aayi thi,
Madhur sureeli muskaano se goonji meri angnaayi thi,
Dekha uski aankhon mein jab, meri aankhen bhar aayi thi,
Mook, salone se naino mein, meri hi parchhayi thi,

Aas padosi, rishtewale, na aaye the tujhe liwaane,
‘Ladki hui hai’ ye sunte hi, yaad aaye the unhe bahaane,
Jabki pichhdi soch ko guzre, beet gaye ab kayi zamaane,
Phir bhi kitne ‘padhe-likhe’ bhi, suna gaye the humko taane,

Tere seene par sar rakh, jab teri dhadkan sunta hoon,
Tere bole bin hi tujhse, dheron baatein karta hoon,
Kabhi-kabhi toh bhari dupahari, jhat se tu so jaati hai,
Kabhi-kabhi phir der raat, humko ratjaga karaati hai,
Tere uthne ki chinta mein, main bhi kahaan so paata hoon,
Ek aankh se sota hoon, dooji se taktaki lagaata hoon,

Main na padh-likh paaya gudiya, tujhko magar padhaaunga,
Apne saath bitha kar tujhko, main bhar pet khilaoonga,
Seedhi saadi tu hogi toh roti paka khilayegi,
Ya phir ban kar ‘Laat-mem’ tu seena mera phulayegi,

Tu apne in haathon ki rekhaaon se mat dar jaana,
Inki baaton mein aa kar, hath se peeche mat hat jaana,
In ka kya hai, ye toh kewal baadhayein dikhlaati hain,
Samajh-boojh aur himmat se, saari baadha tal jaati hai,

"Beta toh beta hota hai", har jan yeh dohraata hai,
"Byaah hua so gayi, kandhon ka bojh aur badh jaata hai",
Jaane kyun in Beton par, saara jag itna itraata hai,
Beton par utsav aur betiyon par shok manaata hai,

Tu chhoti hai mat kar parwaah, samay badal hi jaata hai,
Beta-Beti ek hain dono, samay yahi samjhaata hai,
Beta phir bhi aage chal biwi-bachchon ka ho jaata hai,
Beti jitna saath aajkal beta kahaan nibhaata hai,
Beti jitna saath aajkal beta kahaan nibhaata hai.

No comments:

Post a Comment