Saturday 4 May 2024

"Train"


Har subah, har shaam, 
Inhi patariyon par se nikal jaati ho, 
Wahi sadkein, baadal, khet, nadi, naale,
Unhi pulon se din-ba-din, ub nahin jaati? 
Kisi aur vaadi, raaston par jaane ko, 
Nahin ho tum taras jaati?

Yahi kuch din hue, dekha tha un bachchon ko,
Tumhare peeche daud lagaate hue,
Roke nahin ruki, waqt ki paaband,
Lagaataar eklauta safar kiye ja rahi ho,

In ird gird patriyon pe jin saheliyon se subah shaam milti ho,
Unke chatpate kisse kahaniyon ko sunkar jal nahin jaati?
Ye bagal wali, seedhe kashmir ki khushnuma wadiyon se aati hai,
Aur phir woh ek patri chhod ke, seedha narmada ke sangmarmaron se, 
Inki chaal dhaal se tum zara bhi machal nahin jaati?

Khud matmaile kheton, gobar ke uplon se guzarti ho,
Kahin chaude bhoore maidan, kahin sookhi nadi, 
Kahin lawaaris shehri bheed ko laanghte hue,
Phir bhi kisi aur suhaawani patri par abhi talak,
Chhalaang nahi lagayi tumne, 

Jaane kis wachan par atal ho, 
Shaayad musaafiron se dil laga baithi ho,
Shaayad kisi puraani riwaayat ki maari ho,
Ya shaayad tum bas behad bechaari ho!