Friday 31 January 2014

Suno!


Suno. Ruko.Yahaan. Main hoon.. Main hi hoon!
Chupchaap aaine mein main tumhara ‘aks’ hoon,

Yun toh tum aur main rahe hamesha baraabar,
Par faasla ye hai ke be-awaaz reh gaya,

Gham aur khushi tumhari pe mera hai sab nirbhar,
Aitbaar toh kiya magar aitraaz reh gaya,

Ye aaj hi ki hai baat ke himmat hui hai kuch,
Pehli hi baar ki hai ye koshish maine sach much,

Kehna jo chaahta hoon, chhoti si baat hai,
Main kya bada kahoon, meri kya majaal hai,

Tum nahin par tum jaisa dikhta zaroor hoon,
Badle mein bewafa khushi ke par bikta nahi main hoon,

Shohrat nahi chaahta par zameer par guroor hai,
Saath rehkar bhi raha ajnabi, kya mera yeh kusoor hai?

Laute ho jab kabhi bhi tum zara aur bik kar,
Gire badan se hain kayi hisse mere bhi tootkar,

Kehlaya nahi par janam se rishta mera bhi tha,
Bhooli bisri kahaniyon mein ek lamha mera bhi tha,

Yun jab kabhi bhi tum palat te ho tasveerein purani,
Chhoti badi khidkiyon mein dikhti hogi ek shakl jaani pehchaani,

Woh shakl hai wahi magar badal gaya main hoon,
Tumhari galtiyon mein main ulajh gaya sa hoon,

Suno zara ruko, yeh main tumhara ‘aks’ hoon,
Aage nikal gaye ho tum, fisal gaya main hoon.

2 comments:

  1. Will not complement you for writing so well, done that before. Will not say that your command over feelings is great, said that before. Can only request to come with Non-English lines more than before, they sound so refreshing in your blog.

    ------

    "Tumhari galtiyon mein main ulajh gaya hoon"...

    You had me fall for this post with this line alone.

    ReplyDelete